Poetry of Sultan Sulyeman Mera Sultan
Mera Sultan Episode 298 - Part 1 by paktvdaily
Hamari Mout BaHar surat Naguzeer hy
Is mei kya raaz hy
Vo sirf Allah hi Janta hy
Jab Suraj Ki roshni Subah k waqt Har Ghar or khirki se dakhil hoti hy to
har Taraf pheel jati hy
Agar Ghar or uski khirkian band hoon tu
Roshni Andar nh Ja skti
Vo daro dewaar se takra kr lot ati hy
Beer per lage huey angooro ki ginti Mumkin hy
Lakin jab unhe nichor liya jaye
Or unka raas nikaal liya jaye to
Ginti na mumkin hojati hy
Mout dara sal azaadi ka dusra naam hy
Jism se rooh ki azaadi ka dusra naam hy
Rooh khaliqe haqiqi se jaa milti hy
Kabi b Marne Wale ko Bura Bhala na kaho
Usy malamat na kro
Q k vo tmamam achyion or burayion se azaad ho chuka hy
Kisi ko b bura mat samjho
Aysi baatain mat kro jink tm guwa nh ho
Insan ki ankh sirf uski waqt sachayin daikhti hy jb vo daikhna chahta hy
tmamam sadaqat AllAH ki dastarast mei hy
Tme kisi qism ki qayas arayi nh krni chahye
Apne wajood per kisi qism ka garoor ya fakhr nh krna chahye
Q k Mustaqil or ger fani sirf ALLAH ki zaat hy
Insan fani hy Or ye dunya ik siyaae ki manid hy
Aye KHUDA teri Mihrbani or enaat Parinde b Jante hain
Jo teri Muhabat mei apne paro ko soker dete hain
parinde Badlo se b unchi Parwaaz krte hain
Asmaan dar asmaan bhatkte hain KHUDA ki talaash mei
Shayad vo KHUDA ki qudraat k Azeem Paristar hain
Vo aksar mehve parwaaz rehte hain
un lagta hy jaise vo oro ki rooh k mutalshi hoon
KHUDA sb ko sukoon or Afiyat de
AMEEN
Poetry and qoutes of Sultan Sulyeman Mera Sultan, Muhtese yuzyil